A Lovely Nat From a Friend
Kismat mein meri chain se jeena likhde
Doobe na kabhi mera safeena likh de
Jannat bhi ganwara hai, magar mere liye
Aye kaatib-e-taqdeer, bass madina likhde
Mai saahil hoon meri auqaat kya hai
Tum aaqa ho, tumhari baath kya hai
Tajdar-e-haram, ho nigaah-e-karam
Hum ghareebon ke din bhi sanwarjayenge
Tajdar-e-haram, ho nigaah-e-karam
Chashm-e-rahmat-ba-khusha soohe-malandaz nazar
Aye quraishi-la-kabi hasmhi-o-muttalabi
Tajdar-e-haram, ho nigaah-e-karam
Kya tumse kahoon aye rab ke kunwar
Tum jaanat ho mann ki battiyaan
Darr furqat toh aye ummi-laqab
Kaate na katath hai ab rattiyaan
Turi preet mein sudbud sab bisri
Kab tak ye rahegi beqabri
Daah-e-ka pigan duzdi da nazar
Kabhi sun bhi toh lo humri battiyaan
Tajdar-e-haram, ho nigaah-e-karam